Saturday, September 26, 2020

GSTR 1 Return Offline Tally Erp 9 Se File Kaise Kare

Hello Friends, Today es post me aaj apko batane wala ki ki kis tarah se aap GSTR 1 Return ko apne Gst OFFLINE UTILITY tool se aap file kar sakte ho GSTR 1 Bhut hi important ho chuki hai bcoz gst me kuch new returns aani thi jo ki nahi aayi or purani wali gst returns me hi kuch new amendment kar diye gye hai jisse ki aapki GSTR 1 Se hi GSTR 3B ban jyegi. Aaj ki post me mai apko batane wala hu kis trah se aap apne tally se gstr 1 data ko nikalenge or kaise portal par upload karenge. Agar apke invoices jyda hai 200-300 tho bhi ap offline utility tool se data ko prepare karke excel format me bhi ap portal par upload kar sakte ho. GSTR 1 File Kaise Kare Full Process

Step To File GSTR 1 With Offline Utility Tool -  GSTR 1 Return Offline Tally Erp 9 Se File Kaise Kare

Sabse Pahle Apko Utility Tool Download kar lena hai. Return Offline Tool 2.4 [Verson] 

Step1.

GSTR 1 Return Offline Tally Erp 9 Se File Kaise Kare
GSTR 1 File Kaise Kare Tally Se

First apko apni tally me books of account open kar lena hai jha bhi aap apna data jis company ka maintain karna hai jiski return apko file krni wo company apko apni tally me open kar leni h. But remember u apko apni sari entries kar leni hai us months se related jis month ki aap return file krne jaa rhe ho. Aapko sari apni Sales ki entries complete kar leni hai iske liye aap apna Sales registered open karke dek skte ho.

Tally me se kis tarah apko apni GSTR 1 Nikalni hai wo dekhiye ab. Step by step. Go to gateway of tally & then press Short key:- DOG

D - Display
O - Statory Report
G - GST

Fir apko GSTR-1 par click kar dena he. ap aap apni sales ki gstr 1 dek skte ho but apko apna [PERIOD CHANGE KRO] period change kar lena hai aap jo ap sale gstr 1 dek rhe ho wo apka jis time ka hai us time tak sara data show krega apko jis perriod ki return file krni hai apko wo period dal lena hai 

Period Change Karne Ke Liye - ALT+F2  Ek Saath Press Kare

  • From - 1-5-2020
  • To - 31-5-2020


Yaha par hum May ki return file karne jaa rahe hai so humne alt+f2 se period me ye period dal diya hai ab hamare pass only May Month ki hi sales report show hongi for ex. aap image me dek skte ho.

Ab Tally se GSTR 1 ka data nikalte waqt apko kuch baate ko dhyan rakhna hai.

Check Period - Jis Month ki return file kar rahe ho uska period sahi se check kre. only vhi period choose dale tally me.
Total Number Of Voucher - Aapko dekhne hai kitne voucher apke us period se related hai means kitni sales entry apne uss during period ki hui h.
Inclue In Return - Aapke total voucher kitne hai or usme se apne apni GSTR 1 me kitni sales entries apne include (Samil) ki hui h.
Not Relevant For Returns - Iske andar wo entries aati hai jo ki apki GSTR 1 ke liye relevant nahi h jo ki GSTR 1 me nahi fill ki jyengi for ex. Payment, Receipt, Purchase etc. Entries ho skti h but apko tho pata hi hogi ki hame tho GSTR 1 me only Sales ki entries dalni h.


Incomplete/Mismatched In Information [Solve This] - Friends, Ispr jaise hi ap click kroge tho ye vha apko show krega ki apne apni sales ki entries karte wqt kuch Galat dal diya ho  for ex. apne gstin number dalat dal diya ho ya fir Tax me kuch modified kiya ho tho yha par click kreke aap pata laga sakte ho apne kis voucher me galti ki h voucher number show krega or vha reason bhi btayea ki apne kiya galti ki hai aap image me dek sakte ho. Note:- Apni Mismatch Ko solve karne ke baad hi apni gstr 1 file kare.

Step 2.

Friends, Sabhi Points maine step 1 me clear kar diye hai wo sabhi points clear karne ke baad apko dek lena hai kis table me apke data hai us table ko open karke dek sakte ho & Fir apko ALT+E ek saath apko keyboard se type karna hai fir aap EXPORT GSTR 1 pr pahuch jyenge.


Jaise hi ALT+E Press kroge apko Exporting GSTR 1 New window open hogi aap jis FORMAT me ye data chahte hai aap usko select kriye maine Excel [Spreed Sheet] Choose ki h. Output file name ache se dek le or ye file apko kaha par save karni hai location dal sakte ho ya fir jha h vahi rahne do. & Apko fir Yes par click kar dena hai ab apki ye excel me aa chuki hai file jha apne location di thi vha par jakar check kare ya fir ye open ho gyi hogi.

Step 3.

Jaise hi GSTR 1 Excel me Export ho jye tho aapka jis table me data tha aap check kar sakte ho. Tally wala data hi uthkar apka Excel me aaya h. Jaha bhi apka data hoga automatically Excel sheet me uthkar aa jyega apka data excel me prepare ho gya hai ab apko Offline tool ki jarurat h.

  • Offline Tool download krle
  • Fir Usse Extract Krle
  • Fir Extract folder ko open kre
  • Vaha apko GST Offline Tool Dikhayi dega.
  • Uspr click kar ke Install Karle.
Fir usse open krle.

Step 4.


Tool open karne ke bad apko Upload New Invoice/Other Data For Return Tab ko New karna hai & then apko 

GST Statement/Returns - GSTR 1 ko select kare.
GSTIN of Supplier - Apna GSTIN Dale
Financial Year - Jis Financial year ki return file kr rahe hai wo dale.
Tax Period - Aap kis month ki return file kar rahe hai wo dale for example mai may month ki return file kar rha hu tho mai MAY select krunga.
Sez Taxpayer - Agar ho tho Yes  kare verna No. Kare.

Ye sabhi detail fill karne ke baad apko Warning Kiya jyega apko apni details ko confirm kar lena hai & then apko Yes karna hai.

Note:- Agar apke invoice Kam hai tho aap One By One bhi enter kar sakte ho mere invoice maine maan liye jyda hai tho mai Import file par click krta hu.

Step 5.

Ya tho aap 

  • Import Returns - All sections in one Go - Es par click krke ek saath apni sabhi excel files ko dal sakte ho.
  • Import Returns - One section at a time - Ya fir aap 1 BY 1 files dal sakte ho jaise ki pahle apne B2CS Dali, Bad me B2B Es tarah.

Mai yha Aall section in one go. ka use kar rha hu. Import Files par click krke apni Excel file jo ki tally se nikali hai wo apko yha dal deni hai wo apko warning krega apko Yes par click kar dena hai Fir VIEW SUMMERY par apko click kr dena hai fir aap dek skte ho jo data apka tally me tha jis table me yha same to same vhi aa gya hai.

Aap Name Section par click karke dek skte ho. vha apko No. of invoice bhi show krega jitne ki jis table me tally me ho rhe the. yha apko sab kuch show krega.

Note:- Agar apko lagta hai ki ye apki SUMMERY ekdam thik hai tho aap GENERATE FILE par click kar sakte ho If apki tally me sales report thik hongi tho apki excel file bhi theek hogi or excel file thik hogi tho apki Ye summery bhi thik hogi. Agar apko lagta hai ki APki summery thik h tho ap generate file par click kr sakte ho.

Generate File Hote Hi Apko JSON File mil jyegi jo ki GST PORTAL par upload hoti hai or fir apki GSTR1 File ho jati hai Apko JSON File download kr leni hai Generate file karke. Fir apko GST PORTAL par Login karke Return par jakar GSTR 1 Offline par click krke json file upload karke. Apni return file kar sakte ho.

How to File Offline GSTR 1 Return GSTR-1 को Offline (Tally ERP-9) कैसे फाइल करें So friends es post me apne dekha ki tarah se humne seekha ki GSTR 1 Tally Se File Kaise Kare Friends, Koi bhi kisi bhi step me apko problem hoti hai so aap mujse Comment box me pooch sakte ho.

0 comments: