- Reverse Charge Kyo Kahte hai.
- Reverse Charge ki Jarurt kyo padi.
- Revers Charge Ki payment kaise karte hai.
GST में Reverse Charge क्या है [GST Reverse Charge Kiya Hai]
Dosto Jaisa ki apko pta hai jab bhi hum kisi se purchase karte hai koi goods tho hum TAX pay karte hai supplier ko Bas iska ulta process hi reverse charge kahlata hai ab iska naam Reverse Charge kyo pda pahle tho ye smje jab Reverse ka matlbe hota hai -Ulta Or Charge ka matlb hota hai - Vasuli Matlb Tax ki ulti vasuli For. Ex ke saath mai apko samjata hu.
For Ex.
GST ka seedha tarika
Jum bhi hum kisi registered person se jo ki GST me registered hai jisne gstin number liye hua hai usse koi purchase karte hai tho hum usko tax pay karte hai. Or jab hum koi sales karte hai tho hum Tax collect karte hai or fir GOVT. ko pay bhi karte hai tax ye tho baat hui Jab aap bhi gst me registered ho or jo supplier h wo bhi gst me registered ho.
GST ka ulta tarika - RCM [Reverse Charge Machenism]
Jab hum kisi unregistered person se goods purchase karte hai tho hum hi govt. ko gst pay karte hai ab aap bologe ki humne tho unregistered person se goods tho liya hai pr humne usse tax tho nahi liya tho apko ye dhyan rakhna hai jab bhi aap unregistered person se ya tho wo inter-state ho ya fir intra-state usse goods purchase karte ho [Tho wo person tho GST NETWORK] se juda huaa hai nahi isliye govt. se uska koi matlb nahi hai usko tho apne rupees se mltlb hai or hum rahe gst registered person tho hum kiya krenge jab usse goods lenge tab usko payment karne se pahle jo bhi goods ka tax banta hai wo kaat lenge fir usko payment krenge. Or fir aap govt. ko pay kardo tax. Jabki normal case me - Supplier hi govt. ko tax pay karta hai pr yha par case RCM ka hai tho PURCHASER hi tax pay krega.
Note:-
1. AGR aap asse person se goods purchase karte ho jo ki inter-state hai tho apko govt. ko IGST pay karna hoga rcm ke under agr goods purchase kiya hai tho.
2. If aap Intra-state se kisi unregistered person se goods purchase karte ho tho apko CGST, SGST pay karna hoga - RCM supply ho tho.
Read More:-
Dosto apne aaj ki es post me dekha ki kiya hota hai Reverse Charge Mechanism under gst kiya hai jo accounting me new hai unke liye ye post bahut hi important hai or jo apke friends, C.a ke pass article ship kr rahe hai jo inter-ship hai c.a ke pass unke saath jarur share kre ye post beginners ke liye hai agr apko eski phle se hi knowledge hai tho bahut accha he. GST में Reverse Charge क्या है [Reverse Charge कहां लागू होता है] es post se related agr apka koi question ho tho comment me pooch sakte ho apke har question ka ans diya jyega.
0 comments: