Friday, August 28, 2020

GSTR1 File Kaise Kare [GSTR-1 फाइल कैसे करे?]

Hello Friends, Today aaj mai apko batane jaa raha hu ki hum kaise apni monthly return GSTR-1 Filing kr sakte hai tho koi bhi step miss na kare yaha par apko bahut hi ache se samjaya gaya hai dosto gstr1 bharna itna aashan h ki aap khud apne businees ki return file kar sakte ho or saath hi saath agar aap kisi C.A Se apna work krwate ho tho bhi aapko thodi bahut knowledge honi chahiye taki apko ye tho pta chal ske ki Jis associate se aap apni gstr file krwate ho unse properly apki gst return file ki hai ya nahi tho aaj ke es article me mai apko Step by step GSTR-1 File bharna sikhaunga tho dosto yha par har ek line apke liye important hai tho koi bhi step miss naa kare. 

Note:- Do Not Miss Any Step, Here I told you to fill GSTR-1 with step by step with images.

Step 1. Dosto sabse pahle apko GST Ki website par jana hai GST. Fir vha se apko apne gstin number or password dalkar login krlena hai fir. aap apne dashboard par pahuch jaoge vha par FILE RETURN par click kre.


Jis bhi financial year ki return aap file kar rahe hai wo select kare. Or Jis period ki bhar rahe hai wo period select kare jaise ki aap kon se mahine ki return file kr rahe hai. for ex. mai march return file kr rha hu march select krunga or fir Search pr click kre. File krte waqt ye dhyan rahe ki kafi logo se glti ho jati hai ki wo months ki return file krni thi tho unhone quaterly select krliya or jinko quarterly krna tha unhone monthly select krliya. Agr apne asaa krliya hai tho aap EDIT option pr click krke apna period change kr skte ho.
 
Ab apke pass gstr file krne ki option aa gya hai yaha pr ( Details of outword supplies of goods & services ) pr GSTR1 ki filing date di hui hai kafi bar ye date glt di hui hoti hai Due date jis months ki aap file return kr rhe hai usse next months ki 10 tarik hoti hai tho es baat ka dhyan rakhe or dates ke bare me janne ke liye aap gst portal pr due dates schedule bhi dek skte ho.

GSTR-1 me aap apni Sales (OUTWARD SUPPLIES) ki details doge.


Gstr-1 aap 2 tariko se file kar sakte ho ek tho 
  • Prepare Offline Mode
  • Prepare Online Mode
Yaha pr mai apko online mode ke bare me btaunga ( online mode aap tab select kre jab apke invoices [jo sales bill hai] kam ho or agr apke invoice 5000 se jyda hai ya 1000 se jyda hai ya 500 bhi hai tho aap chahe tho Offline Utility tool ka use karke aap return file kr skte ho usme sare invoice ki file jaise ki B2B, Debitnote, credit note, B2C ki files rahti hai jo ki apko only upload krni hoti hai fir utility tool ke dwara unko jha jana hota hai vha par chli jati hai.

Apko Prepare Online pr click krna hai ab aap gstr-1 ke dashboard me aa chuke hai jha par apko kafi sari tables fill krni hoti hai. Yaha pr apko 19 tables di hui hoti hai.

Jo tables hamare liye relevant hai yahi ki jis table me hamare data hai us tables me hame data ko entre krna hai iske liye aap jis farm ki return file kar rahe hai uski tally open karo or fir vha par DOG 

  • D - Display
  • O - StatuOry Report
  • G - Gst


key entry kroge tho aap GST Menu pr chle jyenge vha pr apko GSTR-1 Select kr lena hai tho fir thoda or neeche aoge tho vha par apko ye sari tables dekhne ko milengi for ex. aap screen me dek skte ho. yha pr apko sari tables show ho jyengi.

Step 2.  Yaha pr mai apko sari tables bta detu hu ki kin kin me kon si details fill hogi tho ye step bahut hi important hai so be carefully read.

4A, 4B, 4C, 6B, 6C - B2B INVOICE - Esme apko wo details fill krni hai jo registered person hai man ligiye aap bhi gst me registered ho or jis bhi person ko aap goods ki supply krte ho usse goods bechte ho sell krte ho wo bhi gst me registered hai tho isme only vahi data ayega. yani ki aap bhi gst me registered ho or jisko ap sell kr rahe ho wo bhi gst me rgsted h. aap v regested or jisne purchase ki hai apse wo bhi gst me registered h tho uska data apko ( B2B TABLE ) me enter krna hai.

Data enter krne ke liye ADD DETAILS  pr click kare.


Add details pr click krte hi apke pass kuch information mangi jayegi jisko apne sale ki hai us person ki 

Receiver Ka GSTIN Number Dalo - Jaise hi gst number daloge receiver ka name automatically aa jyega

Invoice No. - Jo Apke bill ka invoice no. hai wo number bhi yha dalna hai. OR Wahi invoice date bhi dalni h.

Pos - Place of supply kha pr ki hai wo automaticlly aa jyega agr nahi aaye tho aap manually select kre.

Total Invoice Value - Yaha par apko wo invoice value dalni hai jispr tax jud rha hai or fir show ho rahi h  For Ex. 

Apne 10000 Ki supply ki 
jispr 5% tax lga - 500 rupees 
tho jo invoice value hogi wo 10500 hogi 

Taxable Value - 10000
CGST -                 250
SGST -                 250
                           -------
Invoice Value -  10500 (With tax value hai ye )

Note: - GSTR-1 Me ek bahut bda change bhi hua hai [SUPPLY COVERED UNDER SECTION 7 OF IGST] Isko kiya mtlb hai tho chlo jante hai - Iska use jab krna hai jab aap supply kar rahe hai or asse person ko Jo apke same state me hai but POS {Place Of Supply} Different hai.  jaise hi aap add kroge details apko kuch es trah se show hoga.


Dosto agr apne data entry kr diya or table me show nahi kr rha tho mai bata du ki GST PORTLE pr data load hone me kuch time lgta h tho aap thoda wait kr ligiyega. Esliye apko Apni gst return file krne ke liye 2-4 din phle hi file krna vrna data load hone me bhi tym lgega.

5A, 5B (B2C Large) - Isko mtlb hai ki apne supply ki asse unregistered person ko jiske pass GSTIN no. nahi hai or wo bhi large invoice iska matlb hai ki jiski value 250000 se jyda hai. 

ye bhi same hi hai jaise humne registered person wali table me data dala tha but isme GSTIN ka colum nahi ayega kyoki hum unregistered person ko supply kr rhe hai.

9B - Credit/Debit Notes (Registered) - Yaha pr apko debit/credit notes dalne hai registered person ke.
9B - Credit/Debit Notes (UNRegistered) - Yha pr apko unregistered person k debit credit notes dalne hai.

6A (EXPORT) - Agr apki export ki supply hai tho apko apna data es table me enter krna hai. export ke case me apko data ye dalna hai.

  • Invoice No.
  • Invoice Date.
  • Port Code
  • Bill Of Export No.
  • Bill Of Export Date.
  • Total Invoice Value
  • Supply Type
  • GST Payment: With payment of tax hai ya without payment of tax

fir apko taxable value ke saath tax dalna hai or fir save krdigiye.

9A ( Amended B2B INVOICE ) - Agr apse 4A, 4B, 4C, 6B, 6C - B2B INVOICE es table me koi bhi bill ki glti ho gyi hai jaise ki gstin number glt daldiya , invoice date ya invoice number glt daldiya tho 9A Table me aap sahi jankari bhar skte hai ye es glti ka solution hai agr apne last month kuch glti krdi gstr-1 4A table me tho es months apko 9A me amend krna hoga apni glti sudhare ke liye. es table pr click kre.

  • Financial No. - Jis financial year ka bill thik krna chahte hai wo year choose kare.
  • Invoice No. - Or kis financial year ka kon sa bill no. hai jo apse glt hua tha wo apko dalna hai or fir amend invoice krna hai fir wo bill show krne lgega or fir aap usse edit krke thik krlo.
9A ( Amended B2C Large ) - Jis trah se humne 9a amend krna seekha thik ussi trah se ye table no. 5 Ke liye hai jisme humne unregistered person ki jankari  di hai.

9A ( Amended Export Invoice ) - Agr 6A export table me kuch glti hui hai tho wo es 9a table se thik kri jaa skti hai.

9C ( Amended Credit/Debit Notes [Registered] ) - Agr 9B - Credit/Debit Notes (Registered) es table me koi glti hui hai registered person ke debit ya credit notes dalte wqt tho es table me sudhar skte ho.
9C ( Amended Credit/Debit Notes [ UNRegistered] ) - Esme unregistered debit credit notes me glti hui hai wo details ko thik krna hai.

Step 3. GSTR-1 Other Details

B2C (Other) - Isme wo details dalni hai jo b2c hai or jiski value 2.5L se kam hai.

8A, 8B, 8C, 8D (Nil Rated Supply) - Agr apki supply Nil rated hai uspr koi tax nahi lga hai, Ya fir exampted hai yani ki gst se bahar hai wo goods assi supply kr rhe hai ya fir non gst hai tho apko data es table me dikhana h.

Ye Dono Table Advanced ke liye h 
11A(1), 11A(2) [Tax Liablility Advanced Received] -  Yadhi apne adsense received kiya hai tho apko es table ko use krna hai.
11B(1), 11B(2) [Adjustment of advanced] -  agr aap advance jo liya hai usko adjusment krna chahte hai tho isko use kre.

12 HSN Harmonized System Nomenclature Wise Summery Of Outword supplies - Apne hsn code ke accourdingly apko yha pr data dalna hai jaise ki mera hsn code 99 2 digit ka daldiya or wo Unit Quanty code hai ( Others ) Or Total 99 hsn code ke mere pass invoics hai 30 or jiski total value means invoice value hai wo daldi ( taxable value daldi ) tax automaticlly calculate hoga fir save item pr click krdena hai bs.


13 Documents Issued - Isme apne kitne invoices issue kiya hai kitne invoices cancelled krdiye wo data dalna hai. 

Dosto ab table aati hai amendment 11A ,11B, Amendmend B2C Other ( agr inme koi glti krdi thi tho apko en tables ko use krke aapko apni mistake thik kr deni hai.

Step 4. Ab apko GENERATE GSTR-1 SUMMARY Pr click krna hai
I Acknowledge pr TICK KRE 
& then apko ( submit ) pr click krna hai.

Uske baad apko file return pr click krna h yaa tho aap abc ya DSC Jisse v file return krna chaho krdena. 

Dosto agr apko ye post achi lgi tho apne frds ke saath jrur share kre or bhi posts mai apke liye lata rhunga assi hi. tho jude rhe hmare saath hindi me gst ki jankari ke liye. Agar apko koi issue aaye GSTR-1 ke regarding tho mujse jrur share kare aap comments me pooch skte ho mai apki puri help krunga. Thank you for your valuable time. 

4 comments: