Saturday, August 29, 2020

GST Return Status Kaise Check Kare [GST Return Track]

Hello friends, Hamesha ki trah mai aaj bhi apke liye leke aaya hu ki aap apne GSTIN Number Track ka status check kar sakte hai do u know ki ye feature kyo diya gaya hai gst portal par kyoki man ligiye ki aap apna work kisi C.A se karwate ho tho wo apko bahut chakkr cutwata hai ki apki gst file kar di hai ye hai wo hai bahut preshani hoti hai apko tho iske liye govt ne apki suvidha ke liye ye GST Return Status ka option apke liye diya hai jisse ki aap gst portal par jakr apni gstr return ka status check kar sake. Tho hmesha ki trah apse request hai ki koi bhi step miss naa karee isse apko hi prehsani hogi. Today my post is - GST Return Status Kaise Check Kare.

1st Method - If you have not login id pss for gst return status check.


GST Return Status Check Karne Ke Fayde

  • 1. Dosto GST Return Status se aap check kar sakte hai ki apne kitni GSTR File ki hai kitni GSTR apne file nahi ki hai.
  • 2. Jo Gst Return Apne file ki hai wo Valid h ya Invalid.
  • 3. Friends ye jaruri nahi ki aap gst return GSTIN se hi check karo aap apna status check PAN Number se bhi check kr skte hai.
  • Apne koi gst return missing tho nahi kardi kis kis months ki return apne bhari hai ye bhi dek skte ho.
Note:- Dosto iske liye apko koi login krne ki jarurat nahi hai aap bina login ke bhi GSTIN Number ki help se apna GST RETURN STATUS check kr skte ho. Dosto aap bahut si jankari nikal skte ho status check krke for ex.

  • Dealing In Goods and Services
  • Principal Place of Business
  • Legal Name of Business
  • Administrative Office
  • GSTIN / UIN Status
  • Taxpayer Type 
  • Trade Name
Fir aap thoda scroll down kroge tho vha par ( SHOW FILING TABLE ) Likha dikhayi dega apko uspr click krna hai and fi aap sabhi months ki return dek skte h. kon kon se months ki return file ki hui hai.


Step1. First apko GST portal par visit krna hai
Step2. Fir Apko Search Taxpayer Par jana fir apko GSTIN/UIN par click krna hoga. Then Simple apko Apna GST Number Dalkar Captcha dalna hai fir apko Search pr click kar dena hai.  Fir Aap sari details dek skte ho.

2nd Method - If you have login id password


Dosto GST Retrun kaise check kare status check krne ka sbse bada fayda apko ye hota hai ki man ligiye apke C.A ne Apki gst return file nahi ki missing kardi jiski wjah se apko late fine interest lg jata hai. Jiski apko knowledge nahi hoti or jo rupees ca apse collect krta hai aap de dete ho tho aap status ke dwara ye check kr skte ho ki apki GST Return C.A ne time se file ki hai ya nahi agar nahi ki tho wo apse late fine fee bhi mangega or apko btyega nahi agr apko thodi bahut bhi knowledge hogi tho aap es problem se bach skte ho. Agar wo apki file late krta hai tho apse wo consolidate rupees le lega agr aapne kisi months ki return file ki hai ya nahi ye bhi janna chahte ho tho v apko pata lg jata h.

1st apko Login krna hai apne gst portal par.
& then apko <SERVICES option pr click krna hoga.
Jaise hi services pr click kroge apko ek option dikhayi degi < Return apko uspr click krna hai. uspr click krte hi apko <TRACK RETURN STATUS pr click krna hoga. 

Fir apne jitni bhi return file ki hogi sari return ka status vha pr dikha dega apko. vha apko 3 option milenge.

  • ARN
  • RETURN FILING PERIOD
  • STATUS
ARN:- Agar apke pass kisi bhi farm ka ARN Number hai or uska status check krna hai tho simply ARN pr click kre or fir number dal kr search krde.

Retrun Filing Period:- Agar apko Apne 2019-20 Financial year me APRIL months ki return dekhni hai ki file ki hai ya nahi tho apko Next months ki 10 tarik file krne ki hoti hai jaise ki april ki return ap May ki 11 Tarik tk bhar skte ho tho apko 1MAY TO 31MAY search krna hai fir apko vha APRIL months ki return file ki hai ya nai ye bhi pta chal jyega.

Status:- Esme aap check kr skte hai ki apki return VALID hain ya INVALID ye check kr skte ho.
  • Validated But Not Filed
  • Filed- Valid
  • Filed- Invalid


Read More:-


Tho es trah se aap apni GST RETURN STATUS check kar skte ho.

Agar apka koi Question es post se related hai tho hamare saath jarur share kariya or ho sake tho jyda se jyda apne dosto ke saath es post ko share kariya taki unko bhi kuch knowledge mil sake or mai hamesha chahta hu ki mere users mere saath jude rahe taki har post me kiya jankari hai wo pad sake or ye sb mere liye nahi friends ye aap apne liye hi kroge agar kisi ka bhla ho jata hai tho accha hi hai tho Kisi na kisi ki help krne se hamari hi knowledge increase hoti hai. or mai hindi me apko samjane ka paryas karta hu agar apko achi lgi ye infor. tho jrur apne Dosto ko bejo. Mai fir kal ek new post ke saath aaunga. Byy Byy

0 comments: