Dosto Aaj ka hamara ye topic bahut hi important hai kyoki jab bhi hame GSTR3B return file karne ki jarurat hoti hai tho hame Sabse pahle GSTR2A se reconcile krna padta hai tho aaj ke topic me mai apke sare doubt clear kr dunga ki kiya hai GSTR2A Reconcilation kaise kiya jata hai tho dosto [EXCEL] ek asaa tool hain jiski help se aap bahut hi aasahni se apni reconcile kr skte ho ab mai apko batata hu ki kiya hai ye Reconcilation -
Note:- Jinko excel ki acchi knowledge hai unko bahut hi aashani hogi reconcilation krne me vaise normal hi hai sabhi kar skte hai iske liye m apko es article me video v link kr dunga.
Agar kisi se aap goods purchase karte ho tho for ex. Mr. A se apne goods purchase kiya tho wo apni jab return file karega tho GSTR1 File krega or usme sari Sales ki details fill krega ki usne kis kisko sales kiya hai kiya goods sale ki hai kitne rupees ki thi wo sab kuch details dega but only [Sales Details]
GSTR1 - Esme aap apni Sales ki details doge.
GSTR2A - Ye koi Return form nahi hai isko apko bharna nahi rahta jab bhi aap GST portal pr login kroge tho ye vha par apko Show hoga or iske andr kuch Data bhi show hoga tho wo data aaya kha se tho dosto jis kisi bhi person se aap goods purchase krte ho uska data GSTR2A me show hota hai for ex. Mr. A se goods liya apne tho uski sales apki purchase hogi naa tho jo jo bill usne apko diya hai aap GSTR2A se Milaan kroge [Reconcile Kroge] kyoki ye bahut IMPORTANT part hai kyoki iske bina aapka loss bhi ho skta hai ek choti si glti aap kr doge tho apka Loss hai. Dosto aap kisi bhi software me data enter krte ho jydatar log Tally use krte hai bcoz ye bahut hi acchaa software hai aap tally me work krte ho tho Vaha pr aap purchase registered me entry krte ho jis kisi se bhi aap goods purchase karte ho tho uska record apne Purchase Registered me Show krte ho.
Sales Registered - DAS [Display, Accounts Books, Sales Registered]
Ab Mr. "A" ne jo jo sales aapko ki hai wo GSTR1 Sales me data dikhayega or aap jab apna GST PORTAL open kroge tho vha GSTR2A me show hoga jisse aap download krke reconcile kroge apne Tally ke purchase registered se. Ab aap kroge kaise reconcile ye tho apne samaj liye ki hoga kiya hai GSTR2A Reconcilation pr aap kroge kaise tho iske liye post Continue padte rahe dosto aap Excel me reconcile kar skte ho kuki ye ek free tool bhi h or iski demand bhi h or Jo bade bade C.A hai sabhi issi tool ka use krte hai. Tho chlo jante hai GSTR2A Ki reconcilation Aap apne Purchase se kaise kroge.
GSTR-2A Reconcilation कैसे करें [Reconcile Purchase Data with GSTR-2A]
Step1.
Jis kisi bhi financial year ka or jis perio
d ka aap reconcile krna chahte hai usse select krle jaisa ki image me dikhaya gya hai or Fir apne GST PORTAL se gstr2a Excel format me download krle.
Step2.
jaise hi aap GSTR2A download kroge wo ZIP folder me download hogi apko extract kr leni hai fir apke samne kuch es trah se file show hogi or wo bhi MONTHLY mode me for ex. April, May, June, July Es trah se. Dosto aapko jis bhi months ki Reconcilation krni hai aap wo file open krlo excel me ab or vha apko kafi sari files milengi for ex.
B2B
b2ba
CR/DR
Or bhi bahut sari
Step3.
Dosto ab bahut hi important hai dhyan se padna ab jitti v ye files hai jo months wise data show ho raha hai in sabhi ko consolidate krna hai means months wise lgalo excel me ek hi sheet me jaise pahle april, fir may , fir june es trah se sara data laga jaise ki image me dekrhe ho aap. Aap april ki file kholo or iske neeche , May, June, July ka data apko copy karna hai or paste krna hai april ke data ke niche [ek baat important har bill ke niche bold me ek wahi data show ho raha hai dosto ye duplicate bill h bold wale inko apko delete krna pdega.]
Duplicasy hatane ke liye apko sare data ko ( gstin of supplier se lekar ) niche tak select krna hai or fir filter lga lena hai. Ab filter lgane ke baad aap dekre ho ki jo bold hai wo duplicasy h or wo apko htani h tho jo rate hai wo duplicsy nahi h tho aap rate pr click kro or vha jo apko chahiye for ex. hme 18% wale bill chahiye usse unselect kro or fir ok krdo fir apko only bold wale najr ayenge un sabhi ko delete krdo fir. & fir apko rate pr click krna hai fir 18% dubara select kro or fir ok krdo tho apki duplicasy hat jyegi.
Step4.
Duplicasy htane k baad apko asaa data njar ayega.
Step5.
Dosto ab tak jo data apka tyar hua hai wo hua hai as per my GSTR2A , Ab apko data tyar krna hai apni tally me purchase registered ka same ussi trah jis trah se gstr2a ka data hai for ex.
GSTIN OF SUPPLIER ke niche apka gstin number hi hona chahiye jo books me hai ussi trah se jitne column hai un column ko v apko same issi trah se ready krne hai tally wala data.
GSTIN
NAME OF SUPPLIER
INVOICE NUMBER
INVOICE DATE
TABABLE VALUE
IGST
CGST
SGST
CESS
INVOICE VALUE
REMARKS - Isme apko likhna hai "AS PER MY BOOKS "
Note:- Same issi trah se apko gstr2a ka data or Tally ka data ready krna hai Column apke samne hone chhaiye.
Step6.
Apko kiya karna hai ab apko same fields me Jo data Gstr2a ka prepare hua hai uske niche ye data paste krna hai but column ko chodkr bcoz column tho GSTR2A Data me already hai bs apko ye data unhi column ke hisab se prepare karna hai.
Ab apko pure data ko select krna hai or simple (INSERT) Me jakr Pivot table lgaleni hai. Dosto yaha tak aane ke baad apko Apni gstr2a formula lgakr match kr lena hai.
Agar apko acche se smaj nahi aaya hai tho plzz apko ye video dek leni hai ye apke liye helpful rhegi. Dosto agar aapko ye article acha lga tho plzz share kariye apne friends ke saath or wait kijiye next article ka.
0 comments: