Tuesday, February 18, 2020

GST Registration Process In Hindi For New Taxpayer

Hello Friends, GST नंबर कैसे लें? जीएसटी रजिस्ट्रेशन प्रोसेस Online | GST (जीएसटी) रजिस्ट्रेशन ऑनलाइन कैसे करें | GST Registration In Hindi  | GST Registration Process Hindi - Aaj ki es post me mai apko batane jaa raha hu ki hum kaise GST me Registration Kaise Kar Sakte Hai. Es post me mai apko GST Registration Ki puri process ke bare me btaunga. Agar aap koi business suru karna chahte hai tho ya tho aap C.A se information lete hai ya social media through tho mai apko bata du ki kisi bhi kaam ko karne se pahle aap usse ekbar youtube par jarur uski information lele taki apko uske bare me thodi bahut jankari ho tab aap c.a se salah le sakte hai. 

              Dosto aap GST Registration karne ke liye yaa tho C.A ya Advocate ka sahara leta hai or wo sahara hame free me nahi milta uske badle hame fee pay karni hoti hai jo ki minimum wo hamare se 1500-2000 rupees le hi lete hai

Imp:- Koi Bhi Step Miss Na Kare Apko With Image Step By Step Es Post Me Samjaya Jayega Koi Bhi Doubt Hone Par Aap Comment Me Pooch Sakte Ho



GST Registration Process In Hindi For New Taxpayer:-

Step 1 - Sabse pahle baat kar lete hai ki apko gst me registration ke liye kon kon se Documents Required honge. [Documents Required For GST Regsitration]

For Individual | Proprietorship Firms

  • Pan Card Copy
  • Aadharcard Copy 
  • Passbook Scan Copy
  • Person Photo Scan Copy
  • Person Address Proff Scan Copy
  • Office Address Proff Scan Copy
  • Email ID & Mobile Number

Sabse pahle apko GST [Goods & Services Tax] ki website par jana hai. Fir Apko Services Par Click Karna Hai, Then Apko Registration Par Click Karna hai uske baad apko New Registration Par Click Karna Hai. [Gst<Services<Registration<New Registration]




Step 2 - Fir apke samne kuch alg window open hogi jisme apko apni details fill karni hai. Uper New Registration par hi click rahne dena hai agar pahle se hai tho thik h. 

I am a - Yaha apko Taxpayer Select karna hai
State/UT - Aap kis state se ho ye select kare
Distt - Apni distt. select kare
Legal Name Of the Business - Yaha par apka naam [Jo pan card par naam hai Excetly vahi hona chahiye
Pan - Yaha apko apna Pan number dalna hai
Email Address - Fir apki email add.
Mob. No. - Yaha apka mob. num

Fir Captcha code dale jo image me diya hua hai & Then Proceed Par click kar de.


Step 3 - Ab jaise hi aap Proceed par click karoge tho apko apne Mob No. par jo Code aaya hai wo dalna hai or jo Code Email par aaya hai wo bhi dalna hai dono codes dalne ke baad apko proceed par fir se click kar dena hai.


Step 4 - Jaise hi proceed par click kiya apne tho apke samne kuch es trah ki screen khul gyi. Apko TRN Number Mil chuka hai [TRN - Temporary Reference Number]. Dosto aap es TRN Number ko kahi note karke rakh ligiye ye bohoot IMP hai. Ap Apko Proceed Par Click kar dena hai.


Step 5 - Iske baad apko TRN Number dalna hai fir captcha dalna hai and again apko Proceed par click kar dena hai.



GST Registration In Hindi:- 



Step 6 - Fir apko Apne Mob No/Email ID par OTP ayega apko wo dalkar Proceed kar dena hai.

Step 7- Step 6 Ke baad proceed karne par apko asi picture dikhayi degi yaha apko Creation Date Or Expiry Date Ke beech me apko apna form fillup karna hoga. Ab hame Action Par Click karna h.



Step 8 - Action par click karne ke baad apko kuch es trah se form dikhayi dega aap image me dek sakte ho. Yaha par apko ab One By One sari details fillup karni hai. Yaha Par Sabse Pahle Business Details Hai.

Business Details - 

Trade Name - Agr aap Trade name dena chahte hai tho de sakte h vaise ye mandatory nahi hai par agar aap indivisual hai or apna trade name dena chahte hai tho de dijiye. For Ex. [Jeen Mata Cement Store]

Constitution Of Business - Yaha par apko jo apke business ka nature hai wo select karni hai for ex. agar aap Proprietorship firm hai tho wo select kare, Indivisual hai tho Indivisual select kare.

Sector/Circle/Ward/Unit - Apka Jo Sector hai ya Ward wo yaha dale.

Commissionerate - Yha apko apni Commissionerity chunni hai & uske baad Division & Fir Range.

You Are Applying For Registration as a Casual Person - Dosto isse apko No, karna hai ab aap poochoge ye hai kiya tho mai bata du iska matlab hai [Iska matlab hai ki ek asaa vyakti jo kabhi kabhi tax wali Goods & Services ki supply karta hai - Jaha uske pass vyapar ka ek fix palace nahi rahta wo apne business ki bhadane ke liye Agent ke rup me kaam karta hai]

Option For Composition - Isse bhi apko No hi rakhna h aap jante hai GST me registration ke liye 2 Way hai 1. Regular 2. Composition [Iske bare me hum alg se post me batayenge] Agr apko Regular Gst registration karna hai tho No hi rahne de.

Reason To Obtain Registration - Yaha apko batana hai ki aap kisliye Registration numbr lena chahte hai tho aap chahe tho apni Category Chun le ya fir Other Par Click kare agr category me apka business nature nahi h tho. Agr ap other par click karte hai tho apko Other [Please Specify] karna hoga aap daal sakte ho isme [ Retail Within State, Aap apne hisaab se daal sakte ho]

Date Of Commencement Of Business - Ab yaha par kon si date dalni hai yaha par aap piche ki 20 din tak ki date daal sakte ho ye depend karta hai ki aap ka business kab establish hua tha.

Date On Which Liability to Register Arises - Yaha par apko Date Of Commencement Of Business ki jo date apne dali hai uske baad ki date dalni hai 5-10 days baad ki dal do chahe. [The liability to register under GST arises when the person is a supplier and the aggregate turnover in the financial year is above the threshold limit of 20 lac rupees. However, there are certain categories of suppliers who are required to get compulsory registration irrespective of their turnover]

Indicate Existing Registration

Type Of Registration - Dosto Yaha agar apko apni client se vat no. ya other kuch numbr mila hai tho dal do varna ap Other Par Click kardo.
Other - Yaha Apko "TRN" Likh Dena Hai kyoki apke pass trn number tho h hi.
Registration No. - Yaha ap TRN No. dal dijiye.
Date Of Registration - Yaha apko wo Date dalni hai jab apko TRN No. mila hai.

Ye Sab fill karne ke baad apko Save & Continue Par Click kar dena hai. yha apko pahla Business Details Column Complete hua.


Step 9 - Business Details Fill karne ke baad apka next aata hai [Promoter/Partner] ab apko es column ko dhyan se bharna hai. Sabse pahle aata h

Details Of Propietors - Personal Information


  1. First Name
  2. Middle Name
  3. Last Name 
Ye Teeno already fill honge apke PAN CARD par jo naam hai wahi naam pahle se hi fill hoga.

Name Of Father

First Name - Yaha par apko Apne father ka name jo pan card me hai wo dalna h
Middle Name - Agr Middle name hai tho dale.
Last Name - Apne Father ka last name dale.
DOB - Yaha apko Date Of Birth dalni hai
Mob No. - Mob Number dale
Email Add - Apni Email I d dale.

Identity Information

Designation/Status - Agar apki Proprietor Firm hai tho yaha proprietor likhe.
Aadhar Card No. - Yaha apne aadharcard num dale.

Iske baad Declearation ko checkmark karde.

Residential Address


  • Building No/Flat No.
  • Road/Street
  • City/Town/Village
  • Country
  • State
  • Zipcode
Apko apni ye sabhi details fill up kar deni hai. Uske baad  Documents Upload ki bari aati hai. tho jis person ka aap apply kar rahe ho ya fir apna tho apko yaha photo upload karni hai jo ki 100KB se jyada nahi honi chahiye. 

GST Registration Process In Hindi For New Taxpayer:-


Other Information

Also Authorized Signatory - Ye apko YES kar karna h kyoki jo hamara Indivisual firm hoti hai ya proprietorship firm hoti hai tho uske liye indivisual banda hai authorized person hota h. Iske baad SAVE & CONTINUE par click kar dena hai.


Step 10 - Ab bari aati hai apki Authorized Signatory Column bharne ki yaha apko Primary Authorized Signatory Par Click kar dena hai or fir Save & Continue Par Click kare. 

Step 11 - Fir Apko Authorized Representative Par NO hi rahne dena hai fir apko Save & Continue par click karna h.

Step 12 - Principle Place Of Business yaha apko wo address dalna hai jaha se app business karna chahte h.

Nature Of Possession of Premises yaha bol raha hai ki aap jaha se business kar rahe ho wo Office hai, Home hai, Ya rent par liya hai apko Select karna hai. Or Fir uska ek proff apko Documents upload bhi karna hai jaise - Electricity Bill, Jo apke option me ho. Par apka Proof 100KB se jyada nahi hona chahiye.

Nature Of Business Activity Being Carried About at Above Mentioned Premises - Yaha par jo apne address proff diya hai jo office liya hai apne wo kis purpuse se use karne wale hai iski information ke liye in boxes pr click kare. kisi ek ko select karke SAVE & CONTINUE par click kare. Have a additional place of business - agar apka business ka or koi place hai tho isse yes kare otherwise, No rahne de.

Step 13 - Goods & Services Ye jo number hum le rahe hai ye agar aap only Goods ke liye lee rahe hai tho uska HSN CODE dal kar SAVE & CONTINUE par click kare [Means jo aap business kar rahe hai wo kis goods me aata hai] ///// or agr services ke liye lee rahe hai tho services ka HSN CODE dal kar apko SAVE & CONTINUE par click kar dena h. 


GST Registration Process In Hindi For New Taxpayer:-


Step 14 - Ab ap Bank Accounts ke column me aa chuke hai. 

Total Number Of Bank Account Maintained - yaha apko apne bank accounts ki details deni hai ki apke kitne banck account h. Fir apko ADD NEW CLICK karna pdega.

Fir apko Bank Acc Number Dena h
Type Of Account - Acc. kis type ka hai Saving Account hai ya Current Acc / OD Acc. etc 
Bank Account IFSC Code Dalna h & Fir apko Apne Account ki Passbook ka first page / ya cancelled check ki copy scan karke upload karni h. fir apko SAVE & CONTINUE par click kar dena hai.

Step 15 - State Specific Information ye Mandatory par nahi hai isse SAVE & CONTINUE karke aage bhado.

Step 16 - Verification Dosto Ye apka last part hai GST Registration Process In Hindi For New Taxpayer ka

I Here Solemnly isse checkmark karde. Uske baad apko PLACE dalna hai jo distt. h wo dal dijiye. fir apko 3 option honge verification karne ke. 

  • SUBMIT WITH DSC
  • SUBMIT WITH E SIGNATURE
  • SUBMIT WITH EVC
Sabse best option SUBMIT WITH EVC hai jisme apke mobile number par otp jyega jo fill karke aap GST me registration kar sakoge. jaise hi aap sumbit with evc kroge apke mobile ya email par otp ayega apko submit karke VALIDATE OTP kar dena hai. Dosto ap image me dek sakte ho ki apki application submit ho chuki hogi fir apko SUCCESS aa jayega.

IMP - Dosto ye upload ho jane ke baaad koi issue nahi aate hai tho apko GSTN NUMBER within 3-4 days me mil jayega 1 week ka time v lag sakta hai or agar kuch problem aati hai tho aap hame comment kar sakte ho. 


Agar apko ye information achi lagi tho apne dosto ke saath share kariye or koi issue ho tho mujse jrur share kariye mai apke comment ka reply jarur krunga or bachiye kinse [C.A / ADVOCATE] se agr apko Apni GST RETURN Fill karwani hai ya kuch poochna hai tho aap humse pooch sakte ho 

GST नंबर कैसे लें? जीएसटी रजिस्ट्रेशन प्रोसेस Online |
GST (जीएसटी) रजिस्ट्रेशन ऑनलाइन कैसे करें | GST Registration In Hindi  | 
GST Registration Process Hindi 

We hope that with the information given by us above, you must have understood what GST is and how to register it. If you have any other question in your mind, then you can ask your questions in the comment box below. GSTTAXFUNDA kept following for similar information.

2 comments: